Jin Se Rishtey Gehre ho
Wo Zakhm Bhi Gehre Dete Hai



Blogger Tips and TricksLatest Tips And TricksBlogger Tricks

Friday, 26 April 2013

Chamakte Chaand ko

huuun huuuum aaaa aaa-2
chamakte chaand ko
chamakte chaand ko tuta hua tara bana dala (2)
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte -2

huuun huuuum aaaa aaa-2

bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain (2)
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
 
chamakte chaand

main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun (2)
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
 
chamakte chaand

mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai (2)
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
 
chamakte chaand
 
yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha (2)
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
 
chamakte chaand

0 comments :

Post a Comment