Jin Se Rishtey Gehre ho
Wo Zakhm Bhi Gehre Dete Hai



Blogger Tips and TricksLatest Tips And TricksBlogger Tricks

Wednesday, 27 June 2012

Ae meri zindagi ( MALE - FEMALE )

--MALE--
 
Ae meri zindagi tu mere saath hai - 2
Ab mujhe is zamaane ki parwaah nahin
Jaan le loon bhi main, jaan de doon bhi main - 2
Koi keemat chukaane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai
Teri chaahat si koi bhi chaahat nahin
Kyoonke is mein kahin bhi banaavat nahin
Qudratan husn tera hai sab se haseen
Duniyaadaari ki is mein milaavat nahin - 2
Isko paana hai mujhko kisi haal mein - 2
Is pe jaan bhi gawaane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai
Hai teri chudiyon ka khanakna mera
Aur tere gesuon ka mahekna mera
Naqsh rehta hai har pal mere jism pe
Voh lipatna tera voh simatna tera - 2
Meri aankhon ko bas tera deedaar ho - 2
Kuch mujhe aur paane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai - 2
Ab mujhe is zamaane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai
--FEMALE--
Ae meri zindagi tu mere saath hai - 2
Ab mujhe is zamaane ki parwaah nahin
Jaan le loon bhi main, jaan de doon bhi main - 2
Koi keemat chukaane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai
Tu khuda hai mera mera imaan hai
Ishq karna tera mujhpe ehsaan hai
Tu subha ka ujaala mere vaaste
Tu mere vaaste dilnasheen shaam hai - 2
Tere dil mein thikaana rahe umr bhar - 2
Phir kisi aashiyaane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai
Aah aah
Ab mujhe is zamaane ki parwaah nahin
Ae meri zindagi tu mere saath hai

0 comments :

Post a Comment